|
Mohabbat Kyon Karun?
Hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun main tujhko paane ki aur tamanna kyon karun,
mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe bhi har pal isliye bata de main tujhse wafa ki aas kyon karun,
rooh ko meri chot lagegi gar tu na mili mujhe tujhe aapna banane ki, par dua kyon karun,
teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye tujhe na chahne ki khata main bhala kyon karun,
farishtey bhi tadap jate hain, teri aankhon se jab ashq chalakte hain ye dard tujhe dekar, main ye gunah kyon karun,
teri meri kismat ki raahein hain juda juda main phir bhi tera ban jane ki dua kyon karun,
mana ki mohhabat bhari nazar dil pe gehra asar karti hai tujhe pyaar se dekh kar tujhpar ye rehmat kyon karun,
tu meri ho gayee, par main tera ban na saka fir bhi tere pyar ki arzoo kyon karun,
itna dukhaya hai dil ko tune mere, itna rulaya hai mujhe sab kuch sahun phir bhi, tujhse be-intihah mohabbat kyon karun.
|
|