|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Alfaz Dil ke.....
Bikhari hui zulfon ko girahgeer bana lo Rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo Kagaz pay lakeerain to bahut kheech li tumne Ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo
Kab Se Tere Intezaar Main Dil Lagaye Tere Dedaar Baithe Hai Teri Ek Nazar Hum Par Paray Tamanna Lagaye Hum Bhi Baithe Hai
Mohabbat Karne Wale Iss Duniya Mein Kam Na Honge Meri Jaaan Teri Mehfil Mein Bas Hum Na Honge
Dil cheez hai aisi, hai dene ki de denge Koi qubul karnay wala to milay Hum jaan bhi de denge
Tere naam hum ne kia hai Zindagi apna tere naam Pyar bahut kartay hain tum se Ishq tu hai hamara sanam
Tum jaam tootnay ka bahana na karo Hum teri aankhon say pee lenge Tum na aao, bus aanay ka wada karo Hum intezaar main jee lenge
Pyar ka izhaar kar do Ab hum say nahi raha jaata Likh ker hi iqraar ker lo Agar hothon pay nahi aata
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain Kuch log isay bandagi kehte hain Magar jin pay hain hum martay Hum unhain zindagi kehte hain
Tera diwana hoon, inkaar nahi Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi Kuch shararat teri aankho ki bhi hai Main tanhaa to gunehgaar nahi
Jo sachcha pyar karta hai woh kahan faryaad karta hai Labon ko hilnay nahi deta Dil o dil yaad karta hain
Soya nahi kayi raaton se Is dil main tum hi samayi ho Her aahat per aisa lagta hai Kay shayad tum aayi ho
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|